हर ख़ुशी हर गम में जो साथ रहा है
दिल को सिर्फ तेरा एहसास रहा है …
बीतेगी ये ज़िन्दगु बिन तेरे क्या बताएं
एक लम्हा भी कभी न दिल तुझसे दूर गया ह !
Takdeer ke pannon pe bhi aap hi ka naam dekhte hain
Jab apni zindagi ke manzar ke nishaan dekhte hain
Kyon bachi hai ye thodi si jaan dekhte hain
Batana bhi chahen to kaise karenge bayan
Takdeer ke pannon pe bhi aap hi ka naam dekhte hain !
Dil mein rahenge ek dooje ke banke rehbar !
Nahi judai anjaam sachchi mohabbat ka …
Milte rehte hain har peher sachche dilbar …
Kismat chahe bhi to na kar paayegi juda ….
Dil mein rahenge ek dooje ke banke rehbar !
Yaadon ka saya
Saya hai tumhari yaadon ka is dil par kya karen
zinda rakhte hain khayal tere, kaise ab hum maren
Tanhaai ka sahara leke chaha tha door jana
Wo bhi tumhara bashinda hai, karen to kya karen !
Aaj fir !
Har taraf aaj ek tanhai hai
Haalat ki ye kaisi ruswai hai
Ki hum bhi bhula na sake unko
Yaad unko bhi humari aayi hai !
Lamha mulakaat ka
Dil thaam ke baithe hain wo ke jaane kya ho
Jab aaye wo lamha mulakaat ka !
Chalak na jaaye kahin ankhon se, ho jaaye na bayan,
Aitbaar kya gehre jazbaat ka !
Aaj fir !
Aaj fir pighle kuch armaan hain, yaadon ki aanch mein
Tumhare hi khyalaat hain, muradon ke saath mein
Bhool jaayen kabhi tumhe hum ye ho to kaise ho
Ubhar aate wo jazbaat hain … baat hi baat mein !
Addicted to affection !
Hume apni or khich paaye, bana wo jaam na hoga ..
Kehdo us saaki se ki tujhse ye kaam na hoga !
Khuda ke bande hain, saraahte hain bas mohabbat ..
Jo bas jeetna chahe hume, poora uska armaan na hoga …
Na hai ye paana, na khona hi hai … tera na hona jaane, kyon hona hi hai !
Aaj sukoon ke kuch pal hain aur khayalon mein tum ho
Dil ke andheron ke bech jale chiraagon mein tum ho
Baatein kiya karte hain tumse har lamha har pal
Yaadon mein jee lete hain hum, zamaanon mein tum ho !
Afsane dil ke !
Kya batayen aate hume nahi bahanen hain
Ulfaton ke yun to silsile puraane hain
lafzon mein hoti nahi bayan dil ki baatein
Isharon se hote bayan ye wo afsaane hain !